Monday, July 14, 2008

Thodi si Zindagi.................

Har Baar yahin khayal aata hai
Hain Sab paas, Par.....
Kyon "par" pe khatam har sur hota hai
Aisa Kyon lagta hai, jee tho rahi hun par Thodi Si Zindagi Chahiye

Sab kuch hai aaj par, khatam nahi ho rahi ye talaash
Tabi zindagi ne kaha chal milvadu kisise... mat ho niraash

Zindagi ne milaya un nannhe farishto se.....
Aur kahan mujhe ishare se.....Hain sab tere paas..........
Par tujhe Thodi si Zindagi chahiye....
Hain kuch nahi inke paas...
Phir bhi nahi ye udaas...

Hain to bas ek umeed, ek aasha....
Mila hain jo thoda...
Chalo usi mein jee le...
Thodi si zindagi......

Kuch nahin tha unke haath...
Te woh sab mere saath.....
Haatho ki dhundli lakeere bhi mita na saki...
Aankhon tak pahunchthi muskurahat unke chehere ki....

Thi Umeed Ankhon mein, rahegi na zindagi aaduri......
Kabhi to hoga har sapna pura
Hai yahin aas... iss zindagi ka har pannha hoga rango se pura....
Tab laga.. Itefaq nahi tha un farishto se milna.....
Ishare se chahthi thi Zindagi Kuch Sikana.....

Waise to guzarta Waqt hain zindagi...
Samjho to, bas ek hi mouka hain Zindagi……..
Woh Mouka, jo dobara nahi milega....
Woh mouka,jis mein jee bhar ke jeena hain.....
ke peeche mudke dekho to har guzra lamha ek yaad banega
Aur har yaad se chehere pe ek muskurahat khilegi......

Deti hai zindagi Isshare....
Bas samjh ne ki dher hain....
Na samjho to guzartha waqt hain zindagi....
Aur Samjh lo to ek umeed hain Zindagi.....

Har lamha ek ishara hain....
har ishare mein ek umeed hain...
Umeed pe duniya kayam hain.....
Aur hum pe hi... har umeed kayam hain...................



************************************************************************************
"Thodi si Zindagi" is all about my experience with Aashayein Foundation (an NGO) , where i got the privilege to interact with children who taught me there is only
one life to live, one chance to be happy so should have hope and be happy always.........