As the name goes, it's just a thought that fluttered my mind after inspiring lines of this one. Could not bind it with any titles........... So it's just a thought.......
Ek UMRR Guzar jaati hain
Zindagi Ki Talaash Mein.......
Yeh WAQT Guzar jaata hain
Manzil ki Talaash mein........
Manzil, Muqaddar Ya Talaash...
Nahin hain AKS Zindagi ke........
Par Har Kisi ka Muqaddar tho,
Yahan ek Anjaam Hain....
Uss Manzil-E-Anjaam se bekhabar,
Talaash Rahe hain Chalave ko...........
Talaash Rahe hain Chalave ko, Jab
Bhikre hue hain,
Khushiyon ke moti raha mein, Bus
Samet ne ki dher hain......
Phir bhi nikal pade hain,
Ek Bewafa-E-Aashiyaane ki talaash mein.....
Aise hee beeth jaathi hain UMRR,
Aur jaate hue kehe jaati hain......
Zindagi tho SAFAR ka naam hain,
Talaash se na koi naata, Muqaddar se na koi rishta hain iska
Jo Samaj gaya iss ko, ye Manzil nahi HUMSAFAR hain uska......