Monday, August 1, 2011

Main, Ke Sivah














Dur thak bichi koi khamoshi thi...
Main, ke sivah kuch aur na tha
Sard mausam main bhi halki si
Suraj ki roshni, Umeed si de jaati....
Kaale reth pe pad ke aise jagmaga jaati,
Jaise zameen pe sitare bichayi hui si ho....
Reth par chalthe....
Main, ke sivah kuch aur na tha...
Dur thak bichi koi khamoshi thi...

Samandar ki leharein kehti
Zameen se....
Laut jaati hun tere dhar se,
Har baar takra kar.....
Teri bahon mein samaane ki koshish le kar,
Har ek lehar ke ssath ye koshish karthi hun.
Mulaqat pal bhar ka ho,
Saath tere har pal rehthi hun.
Leharo ko cheerthi awaaz main bhi....
Dur thak bichi khamoshi si thi...
Main ke sivah kuch aur na tha....

Reth pe banhe pairo ke nishaan ,
Ek lehar se mit jaati...
Hain Zindagi yahi ye
keh jaati....

Main ke sivah bhi kuch tha, ya hain
Jo nazar nahi aati...
Nazar ke daayre se aage bhi,
Koi dharqt hoga....
Kaano thak pahunch ne ki koshish mein,
Koi awaaz hoga.....
Dur thak bichi khamoshi mein kuch sunne lagi thi...
Main, ke sivah bhi koi aur tha, ya hain
Ye jaan ne lagi thi....